bite rishte talash karti hai khushbu ghunche talash karti hai jab guzarti hai us gali se saba khat ke purze talash karti hai apne mazi ki justuju mein bahaar pile patte talash karti hai ek ummid bar bar aa kar apne tukde talash karti hai budhi pagdandi shahr tak aa kar apne bete talash karti hai