bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue sahra mein phir raha hun balaen liye hue dil wo ajib shahr ki jis ki fasil par nazil hua hai ishq balaen liye hue main wahshat-e-junun hun meri musht-e-khak ko phirti hain dar-ba-dar ye hawaen liye hue dekha baghaur apni khudi ka jo aaina ubhre hazar chehre khataen liye hue ek shor gunjta hai musalsal khalaon mein hai lafz-e-kun bhi kitni sadaen liye hue