bu-e-gul khinche na gulshan mein gul-e-tar khinche shauq-e-didar tera hum ko hai dar dar khinche tu mujhe chahe magar main tujhe chahun kaise baat jab hai mera dil bhi tera paikar khinche main ki manzil ka talabgar na samton ka asir tu ki dariya jise har lamha samundar khinche jabr ke sath ibaadat mein maza kya hoga shauq se lakh hamein masjid-o-mimbar khinche kab rahi teri tamanna dam-e-rukhsat mujh ko koi bhi ruh ko is jism se bahar khinche ek hi pal mein simat jae safar sadiyon ka yun nigahon mein qayamat ka wo manzar khinche