bu-e-gul sungh kar bigaDte hain

bu-e-gul sungh kar bigadte hain
ye pari-ru hawa se ladte hain

kyun jawani ke pichhe padte hain
bhagte ko nahin pakadte hain

ek din wo zamin dekhenge
ai falak aaj ko akadte hain

mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan ediyan ragadte hain

nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw padte hain

jis ke hain us ke hain hum ai jauhar
yar ban kar kahin bigadte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close