bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan tuta par-e-parwaz samete to lahu sa phuta rasm-e-ashufta-sari mein hain gareban daman falak-e-pir bata kaun hai sachcha jhuta chand suraj hue jate hain dhuen mein ru-posh jaras-e-waqt kahan aag ka chashma phuta marsiyon aur qasidon se bhari hai mahfil shahr-ashob se har rishta-e-danish tuta shajar-e-dard ki har shakh hai kashkol-numa sar-kashida hai magar bagh ka buta buta wahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal' na koi rabt bana aur na rishta tuta