bujhaen pyas kahan ja ke tere mastane jo saqiya dar-e-mai-khana tu na baz kare nahin wo lazzat-e-azar-e-ishq se aagah sitam mein aur karam mein jo imtiyaz kare unhin ke husn se hai garm ishq ka bazar dua khuda se hai umr-e-butan daraaz kare khuda ka nam bhi lo bazuon se kaam bhi lo tu fikr-e-kar-e-khudawand-e-kar-saz kare hawa-o-hirs se 'nazir' rahe jo pak nazar to ham-sari na haqiqat ki kyun majaz kare