bujhe labon pe tabassum ke gul sajata hua mahak utha hun main tujh ko ghazal mein lata hua ujad dasht se ye kaun aaj guzra hai gai ruton ki wahi khushbuen lutata hua tumhaare hathon se chhut kar na jaane kab se main bhatak raha hun khalaon mein timtimata hua nigal na jae kahin be-rukhi mujhe teri ki ro pada hun main ab ke tujhe hansata hua tu shahzadi mahakte hue ujalon ki main ek khwab andheron ki chot khata hua mera badan ye kisi barf ke badan sa hai pighal na jaun main tujh ko gale lagata hua tumhaari aankhon ka pani kahin na ban jaun main dar raha hun bahut dastan sunata hua