buland-o-past mein manzil hamein kahin na mili jo aasman se nazil hue zamin na mili gila nahin ki tera sang-e-astan na mila! ye hai ki dida-e-tar ko wo aastin na mili kabhi jo shana-e-uqda-kusha nasib hua to us ki zulf-e-girah-gir o ambarin na mili baja ki jaan-e-zulekha the misr mein yusuf magar jo baat thi kanan mein wo kahin na mili mile jo arsh pe khuld-e-barin to kya hasil? ki is zamin pe hamein jannat-e-zamin na mili 'rais' dad khudawand-e-afrinash ko! agar mili to ba-juz harf-e-afrin na mili