bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta jo tere aastane ki gadai kar nahin sakta zaban rakhte hue bhi lab-kushai kar nahin sakta koi qatra samundar se ladai kar nahin sakta tu jugnu hai faqat raaton ke daman mein basera kar main suraj hun tu mujh se aashnai kar nahin sakta khudi ki daulat-e-uzma khuda ne mujh ko bakhshi hai qalandar hun main shahon ki gadai kar nahin sakta sifat firaun ki tujh mein hai main musa ka hami hun kabhi taslim main teri khudai kar nahin sakta jo zindan mein aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai main us zalim se ummid-e-rihai kar nahin sakta jo kamtar hai badai apni apne munh se karta hai magar 'afzal' kabhi apni badai kar nahin sakta