bulbul kahin hai phul kahin baghban kahin allah phir dikhae na aisa saman kahin gum-gashtgan-e-shauq ka aalam na puchhiye rahbar kahin hai rah kahin karwan kahin kar to rahe hain wo meri barbaadiyon ki fikr khud un ki ghat mein na hon barbaadiyan kahin hanste ho mere daman-e-sad-chaak par hanso parcham banen na fath ka ye dhajjiyan kahin anjam-e-zabt-e-dard hai duniya ke samne bijli kahin giri to chalin aandhiyan kahin ye bhi khabar nahin ki gaya qafila kidhar hum to wahin ke ho rahe thahre jahan kahin chhut jae ai 'nazir' na daman yaqin ka gumrah kar na den tujhe wahm-o-guman kahin