bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi bimar hazaron hain masiha nahin koi kaam aae bure waqt mein aisa nahin koi tum kya ho zamane mein kisi ka nahin koi hum ishq mein hain fard to tum husn mein yakta hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi tum kya karo qismat hi agar apni buri ho taqdir ke likkhe ko mitata nahin koi