bund pani ko mera shahr taras jata hai aur baadal hai ki dariya pe baras jata hai aatishin dhup se milti hai kabhi jis ko numu wahi pauda kabhi barish se jhulas jata hai rah tashkil wo arbab-e-wafa ne ki thi ab jahan qafila-e-ahl-e-hawas jata hai ho chuki bu-e-wafa shahr se rukhsat kab ki koi din hai ki phalon mein se bhi ras jata hai aadmi par wo kada waqt bhi aata hai ki jab sans lene pas-e-diwar-e-qafas jata hai tum bhare shahr mein kis dhang se rahte ho 'nasim' goya virane mein ja kar koi bas jata hai