bura mat man itna hausla achchha nahin lagta ye uthte baithte zikr-e-wafa achchha nahin lagta jahan le jaana hai le jae aa kar ek phere mein ki har dam ka taqaza-e-hawa achchha nahin lagta samajh mein kuchh nahin aata samundar jab bulata hai kisi sahil ka koi mashwara achchha nahin lagta jo hona hai so donon jaante hain phir shikayat kya ye be-masraf khaton ka silsila achchha nahin lagta ab aise hone ko baaten to aisi roz hoti hain koi jo dusra bole zara achchha nahin lagta hamesha hans nahin sakte ye to hum bhi samajhte hain har ek mahfil mein munh latka hua achchha nahin lagta