burqa utha tha rukh se mere bad-guman ka dekha to aur rang hai sare jahan ka mat maniyo ki hoga ye be-dard ahl-e-din gar aawe shaikh pahan ke jama quran ka khubi ko us ke chehre ki kya pahunche aaftab hai us mein is mein farq zamin aasman ka abla hai wo jo howe kharidar-e-gul-rukhan us saude mein sarih hai nuqsan jaan ka kuchh aur gate hain jo raqib us ke ru-ba-ru dushman hain meri jaan ke ye ji hai tan ka taskin us ki tab hui jab chup mujhe lagi mat puchh kuchh suluk mere bad-zaban ka yan bulbul aur gul pe to ibrat se aankh khol gul-gasht sarsari nahin us gulistan ka gul yaadgar-e-chehra-e-khuban hai be-khabar murgh-e-chaman nishan hai kasu khush-zaban ka tu barson mein kahe hai milunga main 'mir' se yan kuchh ka kuchh hai haal abhi is jawan ka