but-kada nazdik kaba dur tha main idhar hi rah gaya majbur tha sham hi se hum kahin jate the roz muddaton apna yahi dastur tha wo kiya jis mein khushi thi aap ki wo hua jo aap ko manzur tha kuchh adab se rah gae nale idhar kya bataen arsh kitni dur tha jis ghadi tha us ke jalwe ka zuhur arsh ka ham-sang koh-e-tur tha ek hasin ka aa gaya jo tazkira der tak mahfil mein zikr-e-hur tha wasl ki shab thi shab-e-mearaj kya dur tak phaila hua ek nur tha har kas-o-na-kas se kya milti nigah apni aankhon mein but-e-maghrur tha umr bhar fikr-e-sukhan mein tha 'hafiz' shaeri ka dil mein ek nasur tha