but-KHana sang-e-rah hai jis ku-e-yar ka

but-khana sang-e-rah hai jis ku-e-yar ka
kaba bhi ek nishan hai usi rahguzar ka

adna sa aks hai rukh-e-rangin-e-yar ka
aalam bana hua hai muraqqa bahaar ka

mujh ko to shauq-e-sajda mein ye bhi nahin khabar
sang-e-dar-e-raqib hai ya qasr yar ka

rahmat bhi tere sath hai bakhshish bhi tere sath
phir khauf kya hai pursish-e-roz-e-shumar ka

ho jaen ek kafir-o-din-dar kis tarah
jalwa alag alag hai rukh-o-zulf-e-yar ka

zahid tamam taqwa-o-tamat chhod de
qail agar hai rahmat-e-parwardigar ka

taswir bhi na us ki tasawwur mein khinch saki
adna sa ye kamal hai shokhi-e-yar ka

fiqre ghazab ke likkhe hain khat ke jawab mein
goya qalam se kaam liya zulfiqar ka

kar dun na gharq-e-jam dil-e-be-qarar ko
jhagda chuka hi dun na dil-e-be-qarar ka

shan-e-karam ko us ki gawara nahin kabhi
mayus ho ke lautna umid-war ka

pir-e-mughan sa pir ho 'shaghil' ka mo'taqid
phir zikr-o-shaghl dekh mai-e-khush-gawar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close