but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai phir main hun mera dil he meri ghaar-e-hira hai jo aankhon ke aage hai yaqin hai ki guman hai jo aankhon se ojhal hai khala hai ki khuda hai tare meri qismat hain ki jalte hue patthar duniya meri jannat hai ki shaitan ki saza hai dil dushman-e-jaan hai to khirad qatil-e-iman ye kaisi balaon ko mujhe saunp diya hai sunte rahen aaram se har jhut to khush hain aur tok den bhule se to kahte hain bura hai shaitan bhi rahta hai mere dil mein khuda bhi ab aap kahin dil ki sada kis ki sada hai 'akhtar' na karo un se gila jaur-o-jafa ka apni bhi khuda jaane hawas hai ki wafa hai