but-parasti ke sanam-khane ka aasar na tod kaba-e-dil mera mast-e-mai-e-pindar na tod ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai waiz hai ye paiman-e-wafa rishta-e-zunnar na tod mohtasib sang pe tu shisha-e-mai ko na patak dil-e-rindan-e-mai-asham ko zinhaar na tod rahm kar rahm ki ye chashm-e-chaman ka hai charagh jalwa-e-gul se hai zinat use ai yar na tod tauba karni tujhe wajib hi na thi ai 'sahir' wo jo hona tha hua ab use bekar na tod