buton ka sath diya but-shikan ka sath diya fareb-e-ishq ne har husn-e-zan ka sath diya mere sukut ne kab anjuman ka sath diya tumhaari chashm-e-sukhan-dar-sukhan ka sath diya tumhaare gesu-e-pur-kham pe marne walon ne jab aaya waqt to dar-o-rasan ka sath diya bahaar aai to mahrum-e-rang-o-bu hain wahi junun ne daur-e-khizan mein chaman ka sath diya bujhe jo pichhle pahar teri anjuman ke charagh to dagh-e-dil ne mere anjuman ka sath diya chaman mein ek hamin rah gae khizan ke liye ki bulbulon ne bhi rang-e-chaman ka sath diya khuda ki shan ki nang-e-watan wo kahlaen jinhon ne mar ke bhi khak-e-watan ka sath diya khuda ka shukr ki mayyat to dhak gai apni ghubar-e-rah ne ek be-kafan ka sath diya kabhi jo bazm mein us but key baat aa nikli janab-e-shaikh ne bhi barhaman ka sath diya wo tarz-e-nau ho ki tarz-e-kuhan 'wafa' hum ne har ek tarah mazaq-e-sukhan ka sath diya