buz-dili to wo kar nahin sakta jo hai sachcha wo dar nahin sakta jism duniya bhale hi dafna de pyar zinda hai mar nahin sakta bhuk mein sirf chahiye roti pet baaton se bhar nahin sakta jhut chahe buland ho kitna sach ke aage thahar nahin sakta aap dekhen to us ka husn badhe aaina khud sanwar nahin sakta jo bhi sahil ka hai tamashai par dariya wo kar nahin sakta