chaak ki khwahish agar wahshat ba-uryani kare subh ke manind zakhm-e-dil garebani kare jalwe ka tere wo aalam hai ki gar kije khayal dida-e-dil ko ziyarat-gah-e-hairani kare hai shikastan se bhi dil naumid ya rab kab talak aabgina koh par arz-e-giran-jaani kare mai-kada gar chashm-e-mast-e-naz se pawe shikast mu-e-shisha dida-e-saghar ki mizhgani kare khatt-e-ariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshani kare