chaar din hai ye jawani na bahut josh mein aa ai but-e-mast-e-mai-husn zara hosh mein aa dil ye kahta hai jo wo sham-e-ezar aa nikle ban ke fanus pukarun mere aaghosh mein aa qadam-e-yar ka aawaza har ek gul par hai amn chahe jo khizan se meri pa-posh mein aa mere sheron ke jo mushtaq hain farmate hain dur-e-mazmun sadaf-e-lab se nikal gosh mein aa be-qarar aise sitare durr-e-ghaltan ho jaen aap jhamki se jo farmaen naya gosh mein aa pir hun bojh mohabbat ka uthaun kyunkar phir jawani ko pukaron ki baru dosh mein aa basar-e-pir-e-mughan ruh tu hi hi ai ruh jald shishe se nikal jism-e-qadh-e-nosh mein aa baith kar yar ke pahlu mein jo uthta hun kabhi pa-e-khwabida ye kahta hai mujhe hosh mein aa roz-e-bad ek na ek din tujhe nangiya lega ai zari-posh hum ahbab-e-namad-posh mein aa dagh ho jaega ye taj zari ka ai shama ji jalane ko na khuban-e-zari-posh mein aa neamat-e-ghaib se kahti hai muhawwis ki hawa ud ke jauhar ki tarah deg se sar-posh mein aa dagh hain ek ke par kale bhadak uthenge dekh o fasl-e-bahaari na bahut josh mein aa naql-e-mahfil nazar aata nahin koi hum mein shaikh masjid se nikal bazm-e-nai-o-nosh mein aa wasl mein fasl na baqi rahe ai jaan-e-jahan jaise pahlu mein hai dil yun mere aaghosh mein aa hath aaega muqarrar wo ghazal-e-wahashi 'bahr' charti hai kahan aql zara hosh mein aa