chaar-su shahr mein maqtal ka saman hai ab ke apne sae pe bhi qatil ka guman hai ab ke jo kabhi shahr mein khurshid-ba-kaf bharta tha koi batlae ki wo shakhs kahan hai ab ke kahkashan lafzon ki honton pe bikharne dije dur tak zehn ki galiyon mein dhuan hai ab ke log aankhon mein nae khwab liye phirte hain kuchh na hone pe bhi hone ka guman hai ab ke mere mazi ne mujhe yaad kiya hai shayad ek khalish hai ki qarib-e-rag-e-jaan hai ab ke waqt kya waqt se ummid-e-karam kya 'khusraw' waqt haalat ka khud marsiyan-khwan hai ab ke