chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi abhi kuchh mehr-o-mohabbat ka nishan hai to sahi naqsh-e-pa tera hai gar tu nahin ai hashr-khiram ek na ek bais-e-ashob-e-jahan hai to sahi aap se aap to paida nahin ye lala-o-gul koi aakhir chaman-ara-e-jahan hai to sahi ye bhi kahte hain ki hai arz-e-tamanna be-sud ye bhi kahte hain tere munh mein zaban hai to sahi jalwa-e-dost ko samjha nahin ye baat hai aur jalwa-e-dost muhit-e-dil-o-jaan hai to sahi chahiye aur tujhe kya pae-hangama-e-husn tere qurban ye sab kaun-o-makan hai to sahi hum ne mana ki nahin 'haali' o 'majruh' 'nihaal' 'mir' o 'ghaalib' ka ye ejaz-e-bayan hai to sahi