chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana jis tarah aankh uthe mahw-e-ada ho jaana kisi mashuq ka aashiq se khafa ho jaana ruh ka jism se goya hai juda ho jaana maut hi aap ke bimar ki qismat mein na thi warna kab zahr ka mumkin tha dawa ho jaana apne pahlu mein tujhe dekh ke hairat hai mujhe kharq-e-adat hai tera wada wafa ho jaana waqat-e-ishq kahan jab ye talawwun ho wahan kabhi raazi kabhi aashiq se khafa ho jaana jab mulaqat hui tum se to takrar hui aise milne se to behtar hai juda ho jaana chhed kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho baithe baithe unhen aata hai khafa ho jaana mujh se phir jae jo duniya to bala se phir jae tu na ai aah zamane ki hawa ho jaana 'ahsan' achchha hai rahe mal-e-arab pesh-e-arab de ke dil tum na giraftar-e-bala ho jaana