chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke

chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke
badhe hausle aur bhi zindagi ke

fasanon se meri hi aawargi ke
muayyan hue raste zindagi ke

zamane ko dun kya ki daman mein mere
faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke

nigah-e-karam ki zarurat nahin hai
zara dekh lun be-sahaare bhi ji ke

hain 'masrur' aankhen tumhaari jo pur-nam
batao ye aansu hain gham ya khushi ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close