chali jo khud se kabhi ho ke bad-guman hawa bikhar ke rah gai galiyon ke darmiyan hawa ajab nahin ki diye se shikast kha ke bhi charagh-pa na hui ab ke bad-zaban hawa guzishta raat ki dahliz par sisakte hue suna rahi thi hawaon ko dastan hawa hawaen bandh raha tha jo ek muddat se phir ek roz wahi ho gaya makan hawa na jaane dhaare kisi waqt rup aandhi ka nishan chhod na jae ye be-nishan hawa ab aisa lagta hai sahil se aa lagenge hum uda ke le gai apna to baadban hawa mujhe yaqin hai ek roz mere aangan mein bikher jaegi khushbu-e-zafran hawa