chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati

chamak chehre ki honton ki hansi dekhi nahin jati
sitamgar se meri zinda-dili dekhi nahin jati

gulon se kah rahi hain titliyan mat khanda-zan hona
ki hum se baghban ki be-rukhi dekhi nahin jati

hamein aankhen mili hain shairon jaisi ki hum se to
kisi dushman ki kashti dubti dekhi nahin jati

nadi khud khushk ho jati hai donon ko milane mein
nadi se sahilon ki bebasi dekhi nahin jati

khazana aab ka ye aabshaaren kyon lutati hain
ki in se koi bhi sukhi nadi dekhi nahin jati

wahi bas chand suraj se bahut naraaz rahti hain
ki jin aankhon se un ki raushni dekhi nahin jati

wo ambar hai main panchhi hun wo gul hai to main bulbul hun
kahin bhi is tarah ki dosti dekhi nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close