chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai tere tabassum-e-rangin ka ek partaw hai khizan ki raat ke qatil kahan gae dekhen ki jo lahu hai charagh-e-bahaar ki lau hai chale na sath zamana to is ko yun kahiye thahar gaya hai musafir ki jada-e-nau hai bujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai meri zamin pe jabin-e-araq-araq ke siwa na qatra-e-mai-e-rangin na dana-e-jau hai sawal waqt ki parchhaiyon se hum bhi karen hamare dil mein bhi halka sa ek partaw hai kate jo tirgi-e-sham-e-gham to kaise 'shamim' khafa khafa si kisi ke khayal ki zau hai