chaman ko mausam-e-gul aa ke tazgi dega

chaman ko mausam-e-gul aa ke tazgi dega
charagh ki ye jibillat hai raushni dega

badi umid se maikhane aae sahra se
kise khabar thi ki saqi bhi tishnagi dega

ab un ki bazm mein jae to koi kyon jae
pata hai zulm ka shaidai bebasi dega

khuda ke ghar mein magar soch kar ye aae hain
ye ek sajda hamein lutf-e-bandagi dega

na rakh umid kabhi bazm-e-ishq chamkegi
ki husn khugar-e-zulmat hai tirgi dega

jab us ne maut hi banti hai umr bhar 'danish'
to kaise man len wo hum ko zindagi dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close