chaman se khushbuon ka istiara le gaya koi hamare gulsitan se rang sara le gaya koi hamein jo rah dikhlata tha jiwan ke andheron mein hamare aasman se wo sitara le gaya koi bahut viran rahta hai falak aankhon ka ye jab se chura kar us se us ka mah-para le gaya koi bhala ab zindagi mein dekhne ko kya raha baqi jo bhata tha hamein wo har nazara le gaya koi lagegi par kaise naw ab ye khuda jaane use manjdhaar mein rakh kar kinara le gaya koi badal deta tha jo meindak ko ek raja ki surat mein jahan se ab wo jadu ka pitara le gaya koi dil-e-betab ko 'madhuman' qarar aae bhi to kaise sukun to chhin kar hum se hamara le gaya koi