chand badli mein nihan tha hum ne ye jaana nahin waqt ki tarikiyon mein khud ko pahchana nahin zindagi ki shorishon mein wo kahan kaise hain ab bhul jaenge wo hum ko hum ne ye jaana nahin chal rahi hain kyon zamin pe nafraton ki aandhiyan hum to sab ahl-e-zamin hain koi begana nahin us ke sajde ka saliqa to nahin aaya mujhe wo kamal-e-husn hai ye raaz an-jaana nahin