chand Duba to ye saza pai

chand duba to ye saza pai
baat karne lagi hai tanhai

kar-zar-e-hayat mein aksar
hum ko apnon ne di hai ruswai

phir mile bhi to ajnabi ki tarah
kaam aai nahin shanasai

hai kahan kisht-e-kufr dasht-e-khayal
dur tak main hun aur tanhai

ek mehwar pe aa nahin sakte
wo dar-e-shauq aur jabin-sai

khar se gul juda nahin hote
baat hum ne unhen ye samjhai

zinat-e-dar hum bane lekin
aap lae hain ye qaza lai

yun bhi hota hai barha 'manzar'
nind aai magar nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close