chand us ghar ke darichon ke barabar aaya dil-e-mushtaq thahar ja wahi manzar aaya main bahut khush tha kadi dhup ke sannate mein kyun teri yaad ka baadal mere sar par aaya bujh gai raunaq-e-parwana to mahfil chamki so gae ahl-e-tamanna to sitamgar aaya yar sab jama hue raat ki khamoshi mein koi ro kar to koi baal bana kar aaya