chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya ya kahun baithe-bithae hi bala le aaya khud ko uljha ke zamane ke masail mein idhar main teri yaad se apne ko bacha le aaya aag se aag to lohe se katega loha lo naya zakhm purane ki dawa le aaya ek taqsir ki main jis ki muafi ke liye har dafa ek nai aur saza le aaya surkh aankhen liye wo apni udhar laut gaya main idhar apna ruwansa sa gala le aaya tujh ko pa kar bhi nadamat mein mare jata hun ki kisi aur ke hisse ki wafa le aaya