chand makhsus anasir se chaman banta hai kitni tarkib se phulon sa badan banta hai tere honton ka tabassum tere rukhsar ka rang kabhi jalwa kabhi wahshat kabhi fan banta hai phenk deta hai jo insan ba-zo'm-e-hasti baad marne ke wahi parda kafan banta hai gardish-e-waqt ko sahne ka saliqa ek din inqalab aane pe jine ka chalan banta hai thodi mitti se wafa farz ka pas amn ki chah in hi jazbon ko milane se watan banta hai