chand se phul se ya meri zaban se suniye har jagah aap ka qissa hai jahan se suniye kya zaruri hai ki har parda uthaya jae mere haalat bhi apne hi makan se suniye sab ko aata nahin duniya ko saja kar jina zindagi kiya hai mohabbat ki zaban se suniye kaun padh sakta hai pani pe likhi tahriren kis ne kya likkha hai ye aab-e-rawan se suniye chand mein kaise hui qaid kisi ghar ki khushi ye kahani kisi masjid ki azan se suniye