chand tare aaftabi ho gae zard paikar mahtabi ho gae dopahar ki 'umr jab badhne lagi apne sae bhi jawabi ho gae raat ki rani ke niche sanp tha do farishte iztirabi ho gae aankh jab suraj ki pathrane lagi chand se chehre shahabi ho gae titliyon ki aankh mein nashsha sa hai jism phulon ke sharabi ho gae sipiyon ki aankh mein patthar ke phul kale baadal bhi sarabi ho gae subh ke auraq par suraj ka karb raat ke sae kitabi ho gae