chandni jaisa badan chand si surat us ki har nazar wale ko padti hai zarurat us ki itni fursat se banaya hai khuda ne us ko takta rahta hai har ek aaina surat us ki ek main hi to parastar nahin hun us ka har dhadakte hue dil par hai hukumat us ki main use chhod ke zinda bhi nahin rah sakta meri har sans pe likkhi hai mohabbat us ki us ki chahat ka kharidar main banta kaise jaan de kar bhi ada hoti na qimat us ki