chandni ka raqs dariya par nahin dekha gaya aap yaad aae to ye manzar nahin dekha gaya aap ke jate hi hum ko lag gai aawargi aap ke jate hi hum se ghar nahin dekha gaya apni sari kaj-kulahi dastan ho kar rahi ishq jab mazhab kiya to sar nahin dekha gaya phul ko mitti mein milta dekh kar mitti hue hum se koi phul mitti par nahin dekha gaya jism ke andar safar mein ruh tak pahunche magar ruh ke bahar rahe andar nahin dekha gaya jis gada ne aap ke dar par sada di ek bar us gada ko phir kisi dar par nahin dekha gaya aap ko patthar lage 'jawed' ji dekha hai ye aap ke hathon mein go patthar nahin dekha gaya