chandni raat hai taron ka jahan hai ai dost

chandni raat hai taron ka jahan hai ai dost
zindagi sahil-e-dariya pe rawan hai ai dost

ashk-shoi ke liye ab bhi hain daman larzan
zindagi aaj bhi ek khwab-e-giran hai ai dost

ab bhi mayus hain wabasta-e-taqdir hain dil
ab bhi uthta hua sine se dhuan hai ai dost

kitne be-rang se khakon mein lahu bharti hun
dil ki dhadkan se mera rishta-e-jaan hai ai dost

dil ke daghon hi se tazin-e-gulistan ki hai
qabil-e-did bahaaron ka saman hai ai dost

jabr kya chiz hai be-dad ki qimat kya hai
zehn aazad hai ehsan jawan hai ai dost

dasht to dasht tha gulshan mein bhi wahshat si hai
karwan kaun si manzil mein rawan hai ai dost

ye naya sal hai nikhri hui fikron ka amin
yahi sarmaya yahi ganj-e-garan hai ai dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close