chandni raat mein usne mujhe tanha rakkha

chandni raat mein us ne mujhe tanha rakkha
chand se baaten huin mujh ko tarasta rakkha

apne gham-khane ko yaadon se sajaya hum ne
nind se phir na kabhi khwab ka rishta rakkha

wo jo kahta tha kabhi sath na chhodega mera
us ne suraj ki tarah mujh ko bhi jalta rakkha

talkh sochen hain ki har bar bhatak jati hain
us mohabbat ne bhi hum ko na kahin ka rakkha

ai dil-e-khasta main mangun bhi to kya tere liye
tu ne khud hi to zamane se juda sa rakkha

uth khadi hoti hai har bar baghawat kar ke
nam beti ka bhi jis man ne malala rakkha

wo jo mausam ki tarah khud ko badal leta tha
mujh se rishta bhi kuchh us ne tha hawa sa rakha

phir mere shahr ki footpath pe taswir bani
man ki aaghosh mein bete ka hai lasha rakkha

ab to qismat se shikayat na zamane se gila
dukh to ye hai ki mujhe tu ne hi ruswa rakkha

de de khairaat mohabbat ki kabhi tu bhi mujhe
samne tere mere dil ka hai kasa rakkha

jab bhi tanqid kisi par kabhi karna chahi
samne dil ke khud apna bhi sarapa rakkha

mah-o-anjum ki ziya bhi ho muqaddar us ka
zist mein jis ne meri aaj andhera rakkha

shahr-e-dil mein hi basaya hai nasheman apna
ghar ke naqshe mein teri yaad ka naqsha rakkha

sehn-e-gulshan mein nae phul khila karte hain
ek tera nam 'tarannum' ne jo ghuncha rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close