charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge chaman mein aaegi fasl-e-bahaaran hum nahin honge jawano ab tumhaare hath mein taqdir-e-alam hai tumhin hoge farogh-e-bazm-e-imkan hum nahin honge jiyenge jo wo dekhenge bahaaren zulf-e-jaanan ki sanware jaenge gesu-e-dauran hum nahin honge hamare dubne ke baad ubhrenge nae tare jabin-e-dahr par chhatkegi afshan hum nahin honge na tha apni hi qismat mein tulu-e-mehr ka jalwa sahar ho jaegi sham-e-ghariban hum nahin honge agar mazi munawwar tha kabhi to hum na the hazir jo mustaqbil kabhi hoga darakhshan hum nahin honge hamare daur mein dalin khirad ne uljhanen lakhon junun ki mushkilen jab hongi aasan hum nahin honge kahin hum ko dikha do ek kiran hi timtimati si ki jis din jagmagaega shabistan hum nahin honge hamare baad hi khun-e-shahidan rang laega yahi surkhi banegi zeb-e-unwan hum nahin honge