charagh-e-zist bujha dil se ek dhuan nikla

charagh-e-zist bujha dil se ek dhuan nikla
laga ke aag mere ghar se mehman nikla

dil apna khak tha phir khak ko jalana kya
na koi shoala utha aur na kuchh dhuan nikla

sunenge chhed ke afsana-e-dil-e-marhum
idhar se mulk-e-adam ka jo karwan nikla

tadap ke aabla-pa uth khade hue aakhir
talash-e-yar mein jab koi karwan nikla

lahu laga ke shahidon mein ho gae dakhil
hawas to nikli magar hausla kahan nikla

harim-e-naz mein shayad kisi ko dakhl nahin
dil aziz bhi na-khwanda mehman nikla

nihan tha khana-e-dil mein hi shahid-e-maqsud
jo be-nishan tha wo diwar-e-darmiyan nikla

hai fann-e-ishq ka ustad bas dil-e-wahshi
mariz-e-gham ka yahi ek mizaj-dan nikla

laga hai dil ko ab anjam-kar ka khatka
bahaar-e-gul se bhi ek pahlu-e-khizan nikla

zamana phir gaya chalne lagi hawa ulti
chaman ko aag laga kar jo baghban nikla

hamare sabr ki khate hain ab qasam aghyar
jafa-kashi ka maza baad-e-imtihan nikla

khushi se ho gae bad-khwah mere shadi-e-marg
kafan pahan ke jo main ghar se na-gahan nikla

ajal se badh ke muhafiz nahin koi apna
khuda ki shan ki dushman nigah-ban nikla

dikhaya gor-e-sikandar ne badh ke aaina
jo sar utha ke koi zer-e-asman nikla

lahad se badh ke nahin koi gosha-e-rahat
qayamat aai jo is ghar se mehman nikla

ab apni ruh hai aur sair-e-alam-e-baala
kuen se yusuf-e-gum-karda-karwan nikla

kalam-e-'yas' se duniya mein phir ek aag lagi
ye kaun hazrat-e-'atish' ka ham-zaban nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close