charagh jalta nahin hai lekin jala raha hun main ek ladki ko pyar karna sikha raha hun isi liye to nikhar raha hun main lamha lamha ki jhil aankhon mein chand ban kar naha raha hun ye sath ganw mein ek chhota sa kaam hai bas meri udasi udas mat ho main aa raha hun ki bediyon ki hasin chhan-chhan pe sar dhuno tum na mujh se puchho ki panw kaise hila raha hun hai mom jaisa mera badan aur tu aag jaisi tere qarib aa ke apni hasti mita raha hun 'hasib' apna khayal rakhna mujhe ijazat shakeb-o-sarwat bula rahe hain main ja raha hun