chashm-e-bina ho to har ja tera jalwa dekhe qatre qatre mein nihan wusat-e-dariya dekhe jab talak chashm-e-suwaida mein na ho taqat-e-did nahin mumkin ki koi jalwa tumhaara dekhe tur par jaane ki taklif sahe kyun wo kalim jalwa-e-yar ko jo dil mein huwaida dekhe hasrat-e-did mein aankhen hain khuli baad-e-fana koi ai kash mera aan ke naqsha dekhe kahin hasrat ka muraqqa hai kahin hirman ka kahte hain aan ke ghar koi tere kya dekhe mujh ko marne nahin deta hai tasawwur us ka koi aa kar mere jine ka sahaara dekhe saf ho jaegi duniya ki haqiqat raushan chashm-e-'afaq' se aafaq ka naqsha dekhe