chashm-e-hairat ko talluq ki faza tak le gaya koi khwabon se mujhe dasht-e-bala tak le gaya tutti parchhaiyon ke shahr mein tanha hun ab hadson ka silsila gham-ashna tak le gaya dhup diwaron pe chadh kar dekhti hi rah gai kaun suraj ko andheron ki gupha tak le gaya umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen waqt hum se ruth jaane ki ada tak le gaya is qadar gahri udasi ka sabab khulta nahin jaise honton se koi harf-e-dua tak le gaya jaane kis ummid par ek aarzu ka silsila mujh se paiham dur hoti ek sada tak le gaya khak mein milte hue barg-e-khizan se puchhiye kaun shakhon se use unchi hawa tak le gaya