chashm-e-khana maqam-e-dard ka hai har nazare pe nam dard ka hai sarhad-e-jaan talak qalam-rau dil is se aage nizam dard ka hai be-talab jurat-e-huzuri kya ashk adna ghulam dard ka hai dam-ba-khud tab-e-did zoam-e-sukhan khamushi se kalam dard ka hai ruh ke gham-kade pe qahr-e-sukut asar-e-intiqam dard ka hai ek dhadkan pe ek hashr uthaen chup jo hain ehtiram dard ka hai bujh gain wo ghazal aankhen bhi jin se tabinda nam dard ka hai khushk aankhon se khushk daman tak ye safar gam gam dard ka hai sar-e-mizhgan-e-surmagin larzan tair-e-zer-e-dam dard ka hai