chashm-e-khunbar mein kyun lakht-e-jigar jama karen ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama karen qatl ke baad hua hukm ki lashen uth jaen qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama karen yar ne khatt-o-kabutar ke kiye hain tukde purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen fikr mein gesu-o-rukhsar ke dil ki khatir sham hoti hai pareshan jo sahar jama karen hum rahe dahr mein jab tak tu rahe pa-ba-rikab par na ye ho saka asbab-e-safar jama karen donon aalam se na kyun band wo aankhen rakkhen tere nazzare ke khatir jo nazar jama karen yak qalam panj sad-o-chaar hon diwan mein ghazal hum kalam apna 'waqar' aaj agar jama karen