chashm-e-zahir se rukh-e-yar ka parda dekha aankhen jab phut gain tab ye tamasha dekha dekhna ye hai ki hum ne tumhein kaisa chaha puchhna ye hai ki tum ne hamein kaisa dekha phir jalaoge kabhi talib-e-didar ka khat saikdon aankhon se us ne tumhein dekha dekha kan wo kan hai jis ne teri aawaz suni aankh wo aankh hai jis ne tera jalwa dekha aap kahte hain ki ja dekh liya dil tera kahiye to apne siwa dil mein mere kya dekha tum khabar bhi na hue khana-ba-doshon se kabhi hum ne ghar phunk diya sab ne tamasha dekha jin se hon sokhta-jaanon ke kaleje thande unhin jalwon se 'hasan' tur ko jalta dekha